Madad | main gayeb-hone-wale-paigamat-ko-kise-istemal-karun

Main gayab hone wale messages kaise istemal karoon?

Aap ki razdari aham hai

Aap ki razdari aur hifazat hamari team ki sab se bari tarjeehat mein se hai. Zaati maloomat share karte waqt aap ko mazeed itminan dene ke liye, humne haal hi mein chat mein gayab hone wali photos mutarif karwayi hain.

Gayab hone wale messages kaise kaam karte hain

Gayab hone wali photos woh tasaweer hain jo ek baar dekhne ke baad expire ho jati hain. Jab aap ki tasveer expire ho jaye, to na aap aur na aap ka match use dobara dekh sakega.

Tasveer/gif upload karein

1. Neeche wali bar mein chat bubble icon par tap karein

2. Apni matloob chat par tap karein

3. Neeche message bar mein paperclip icon par tap karein

4. Woh tasveer chunein jo aap bhejna chahte hain

5. “Ek baar dikhaen” toggle on karein

Nayi photo lein

1. Neeche wali bar mein chat bubble icon par tap karein

2. Apni matloob chat par tap karein

3. Neeche message bar mein camera icon par tap karein

4. Apni photo lein

5. “Ek baar dikhaen” toggle on karein

Can’t find your answer?

If you have questions about how Muzz works, or need technical troubleshooting help, please check out our Help & Support page.