Main video kaise bhejoon?
Kabhi kabhi sirf alfaaz kaafi nahi hote: isi liye Muzz members ko Chat mein videos aur photos bhejne deti hai.
Video upload karein
1. Neeche wali bar mein chat bubble icon par tap karein
2. Apni matloob chat par tap karein
3. Neeche message bar mein paperclip icon par tap karein
4. Woh video chunein jo aap bhejna chahte hain
Nayi video banayein
1. Neeche wali bar mein chat bubble icon par tap karein
2. Apni matloob chat par tap karein
3. Neeche message bar mein camera icon ko tap karke dabaye rakhein
4. Apni video record karein aur Bhejain par tap karein
Aap jo bhi share karein, yaad rakhein ke use halal rakhein!
Can’t find your answer?
If you have questions about how Muzz works, or need technical troubleshooting help, please check out our Help & Support page.